Saturday, June 4, 2011

O Jungal Ke Raja...Bhent



◄▬ Send This Beautiful Bheint To Your Friend ...Jai Mata Dee

Darshan devi maa
♥♥♥♥♥ Prem Se Bolo --- Jai Mata Di ♥♥♥♥♥
O jungle ke raja ....AAJAA ,AAJAA , AAJAAaaaa
Aajaa Re Aajaa ..Jungal Ke Raajaa.....AAjaa Re Aajaa.. Aajaa
 O jungle ke raaja ....Meri maiya ko leyke Aaja
Meine Aas ki jot jgayi
Mere nynon mein ma hai samayi
Mere sapne sach tu bana ja
Meri maiya ko leke aaja
O jungle ke raja…...Meri maiya ko leyke Aaja

Har pal maa ke sng virajo dhany tumhari bhakti hai
Shakti ka tum bojh uthathe gajab tumhari shakti hai
Tere sundar nayan katile O rung ke piley -piley
Meri ma ko mujh se mila ja
O jungle ke raja……...Meri maiya ko leyke Aaja

Pavan roopi ma ke pyare, chaal pavan ki aa jao
Devon ki aankhon ke taare, aao karm kama jao
Aa gehnon se tumhen sjaadun paon mein ghungru pehnadun
Mein bajaun dhol aur baja
O jungle ke raja…...Meri maiya ko leyke Aaja

Paakey sammukh bholi ma ko dil ki baaten kar lun mein
Pyas bujha lun janmon ki aur khali jholi bhar lun mein
Ma ke charnon ki dhool laga lun, mein soya naseeb jaga lun
Mere dukh santaap mitaajaa
O jungle ke raja…...Meri maiya ko leyke Aaja

Ma kahegi beta mujhko, mein ma kehke bulaunga
Mamta roopi vardani se, var mukti ka paunga
Saari duniya se jo nyari, chavi sundar atal pyari
Uss ma ka darsh dikha ja
O jungle ke raja……...Meri maiya ko leyke Aaja


No comments:

Post a Comment